Naat-e-Shareef.
Zaer-e-Koay Jinaah Aahista Chal – Naazish
March 9, 2010 at 1:47 PM • Filed under Naat Lyrics
Lyrics in Urdu
Zaer-e-Koay Jinaah Aahista Chal
Dekh Aaya Hai Kahaan Aahista Chal
Jaisay Jee Chahay Jahan Mein Ghoom Phir
Ye Madina Hai Yahan Aahista Chal
Baargah-e-Naaz Mein Aahista Bol
Hoga Sab Kuch Rayegaan Aahista Chal
Haazri Mein Hai Malak Sattar Hazaar
Qudsiyon Ke Darmiyan Aahista Chal
Dekhloon Jee Bhar Ke Sheher-e-Mustafa
Mere Meer-e-Kaarwan Aahista Chal
Jaliyon Ke Saamnay Jaldi Na Kar
Woh Hai Naazish Meherbaan Aahista Chal
Permalink Comments
Aapki Naalein Ka – Taaj
March 9, 2010 at 1:45 PM • Filed under Naat Lyrics
Lyrics in Urdu: Part 1, Part 2
Ya Nabi Dekha Ye Rutba Aapki Naalein Ka
Arsh Ne Chooma Hai Talwa Aapki Naalein Ka
Aapki Khidmat Ka Mujhko Kaash Mil Jaata Sharaf
Baandhta Haathon Se Tasma Aapki Naalein Ka
Aapke Qadmon Ki Narmi Qalb Par Mehsoos Ki
Jab Bhi Mein Ne Naqsh Dekha Aapki Naalein Ka
Hashr Mein Jab Log Choomay Aapka Dust-e-Karam
Sab Say Chup Kar Loon Mein Boosa Aapki Naalein Ka
Roz-e-Mehshar Sar Pe Soraj Jab Sawaa Neezay Pe Ho
Aik Nezay Per Ho Saaya Aapki Naalein Ka
Jiss Se Aagay Jaayein Tou Jal Jaye Par Jibril Ke
Uss Se Aagay Jaana Dekha Aapki Naalein Ka
Taaj Kyun Na Bheek Maangay Aapki Naalein Ki
Taajwar Khaatay Hain Sadqa Aapki Naalein Ka
Permalink Comments
Taiba Ki Arzoo – Haafiz
March 9, 2010 at 1:43 PM • Filed under Naat Lyrics
Lyrics in Urdu
Ya Rub Madinay Pak Mein Jaana Naseeb Ho
Jaana Naseeb Ho Tou Na Aana Naseeb Ho
Rakhdoon Dar-e-Huzoor Pe Jab Mein Jabeen-e-Shouq
Choukhat Say Unke Sar Na Uthana Naseeb Ho
Dar Dar Ki Thoukarein Hain Jou Mere Naseeb Mein
Ishq-e-Nabi Mein Thoukarein Khaana Naseeb Ho
Taiba Say Aakay Bhi Rahay Taiba Ki Aarzoo
Tohfa Yehi Madinay Say Laana Naseeb Ho
Haafiz Kay Dil Ki Hai Yehi Khuwahish O Iltija
Qadmon Mein Mustafa Ke Thikana Naseeb Ho
Permalink Comments
Sarkar-e-Ghous-e-Azam – Fareedi Sahab
March 9, 2010 at 1:39 PM • Filed under Naat Lyrics
Lyrics in Urdu
Sarkaar-e-Ghous-e-Azam Nazr-e-Karam Khudara
Mera Khaali Kaasa Bhar Do Mein Faqeer Hoon Tumhara
Jholi Ko Meri Bhar Do Warna Kahe Gei Duniya
Aisay Sakhi Ka Mangta Phirta Hai Maara Maara
Sab Ka Koi Na Koi Duniya Mein Aasra Hai
Mera Bajuz Tumharay Koi Nahin Sahara
Ye Tera Karam Hai Ya Ghous Ke Bulaliya Hai Darpe
Kahan Mujhsa Ye Kameena Kahan Aastaan Tumhara
Ye Tera Karam Hai Murshid Jo Banaliya Hai Apna
Kahan Rusiya Fareedi Kahaan Silsila Tumhara
Permalink Comments
Sarkar Ke Qadmon Mein – Sabihuddin Sabih
March 9, 2010 at 1:37 PM • Filed under Naat Lyrics
Lyrics in Urdu
Allah Ne Pohnchaya Sarkar Ke Qadmon Mein
Sud Shukar Keh Mein Phir Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein
Rud Kaisay Bhala Hogi Ab Koi Dua Meri
Mein Rub Ko Pukar Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein
Kuch Kehne Se Pehle Hee Puri Hoi Har Khuwahish
Jo Socha Wohi Paaya Sarkar Ke Qadmon Mein
Kuch Lamhay Huzoori Ke Paaye Tou Ye Lagta Hai
Ik Umar Guzaar Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein
Mujh Jaisa Tahee Damaan Kiya Nazar Ko Lejaata
Ik Naat Suna Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein
Yaad Aayei Sabih Apni Har Aik Khata Mujh Ko
Amaal Pe Sharmaaya Sarkaar Ke Qadmon Mein
Permalink Comments
Sarkaar Bulayein Qadmon Mein – Nisar Ali Ujagar
March 9, 2010 at 1:31 PM • Filed under Naat Lyrics
Lyrics in Urdu: Part 1, Part 2
Hazir Ho Dar-e-Aqdas Pe Gada Sarkar Bulayein Qadmon Mein
Mohtaaj Pe Ho Rehmat Ki Rida Sarkar Bulayein Qadmon Mein
Woh Izn Salaami Ka Mujh Ko Ik Kaif-e-Dawami Ka Mujh Ko
Dharkan Dharkan Ki Hai Ye Dua Sarkar Bulayein Qadmon Mein
Woh Lamhe Ayein Qurbat Ke Simtein Hon Sadiyan Lamhon Mein
Takta Hoon Jaadah Rehmat Ka Sarkar Bulayein Qadmon Mein
Mey Pias Ke Sehra Mey Khoya Kantay Se Halaq Mey Chubte Hain
Hoon Sabz Sunehray Jaam Ata Sarkar Bulayein Qadmon Mein
Tareeki Mere Gunahon Ki Sab Urr Jaaye Jou Aajayein
Zulmat Ko Meri Noor Ata Sarkar Bulayein Qadmon Mein
Jaonga Ujagar Qadmon Mein Phir Choolonga Mein Arsh-e-Barein
Hojayeinge Mere Arz-o-Sama Sarkar Bulayein Qadmon Mein
Permalink Comments
Sahara Chahiyay Sarkar – Owais Qadri
March 9, 2010 at 1:22 PM • Filed under Naat Lyrics
Lyrics in Urdu: Part 1, Part 2, Part 3
Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye
Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye
Huzoor Aisa Koi Intizaam Ho Jaye
Salaam Ke Liye Haazir Ghulam Ho Jaye
Naseeb Walon Mein Mera Bhi Naam Ho Jaye
Jo Zindagi Ki Madinay Mein Shaam Ho Jaye
Mein Shaad Shaad Maronga Agar Dum-e-Aakhir
Zubaan Pe Jaari Muhammad Ka Naam Ho Jaye
Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye
Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye
Woh Bazm-e-Khaas Jo Darbaar-e-Aam Ho Jaye
Umeed Hai Keh Hamara Salaam Ho Jaye
Idher Bhi Ik Nigaah-e-Lutf-e-Aam Ho Jaye
Ke Aashiqon Mein Hamara Bhi Naam Ho Jaye
Tere Ghulam Ki Shaukat Jou Dekh Le Mehmood
Abhi Ayaaz Ki Surat Ghulam ho Jaye
Mein Qayal Aap Ke Rauzay Ka Hoon Woh Qayal Tur
Kaleem Se Na Kissi Din Kalaam Ho Jaye
Madinay Jaon Phir Aaon Dobara Phir Jaon
Tamaam Umar Issi Mein Tamaam Ho Jaye
Bulao Jald Madinay Mein Hai Ameer Ko Khauf
Kaheen Na Umar Do Roza Tamaam Ho Jaye
Tumhari Naat Parhon Mein Sunoo Likhoon Har Dum
Ye Zindagi Meri Yunhi Tamaam Ho Jaye
Meri Namaz-e-Janazah Ki Yun Ibadat Ho
Ke Do Jahan Ke Aaqa Imam Ho Jaye
Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye
Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye
Piya Raza O Ziya Ne Piya jou Murshid Ne
A'ta Mujhay Bhi Shah Aisa Jaam Ho Jaye
Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye
Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye
Permalink Comments
Sabse Aula O Ala Hamara Nabi – Ahmed Raza Khan
March 9, 2010 at 1:19 PM • Filed under Naat Lyrics
Lyrics in Urdu
Sabse Aula O A’la Hamara Nabi
Sabse Bala O Wala Hamara Nabi
Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi
Dono aalam ka Dulha Hamara Nabi
Bazm-e-Aakhir Ka Shammay Farouzan Hua
Noor-e-Awwal Ka Jalwa Hamara Nabi
Bujh Gayein Jiskay Aagay Sabhi Mash’lein
Shamma Woh Lekar Aaya Hamara Nabi
Jiskay Talwon Ka Dhowan Hai Aab-e-Hayat
Hai Woh Jaan-e-Maseeha Hamara Nabi
Khalq Se Auliya Auliya Se Rusul
Aur Rasulon Se Ala Hamara Nabi
Jaisay Sabka Khuda Aik Hai Waisay Hee
Inka Unka Tumhara Hamara Nabi
Kon Deta Hai Dene Ko Moo Chahiye
Dene Wala Hai Sacha Hamara Nabi
Saaray Onchon Mein Oncha Samajhiye Jissay
Hai Uss Onchay Se Oncha Hamara Nabi
Sab Chamak Walay Ujlon Mein Chamka Kiye
Andhay Sheeshon Mein Chamka Hamara Nabi
Gham Zaddon Ko Raza Muzhda Dejiye Ke Hai
Beykason Ka Sahara Hamara Nabi
Permalink Comments
Rauzay Ki Deewar – Nisar Ali Ujagar
March 9, 2010 at 1:05 PM • Filed under Naat Lyrics
Lyrics in Urdu: Part 1, Part 2
Rauzay Ki Deewar Say Rishta Jorr Liya
Goya Ik Sansaar Say Rishta Jorr Liya
Saaray Rishtay Naatay Mein Ne Tor Diye
Buss Apni Sarkar Say Say Rishta Jorr Liya
Jaan Mein Rakh Lee Unkay Paseenay Ki Khushboo
Phoolon Ki Mehkaar Say Rishta Jorr Liya
Jism O Jaan Ka Har Gosha Mehka Mehka
Taiba Kay Gulzar Say Rishta Jorr Liya
Izzat Daulat Shohrat Sar Ka Taj Bani
Jab Unki Dastaar Say Rishta Jorr Liya
Qadrein Seerat Ki Badalein Hain Pal Bhar Mein
Jab Unkay Kirdaar Say Rishta Jorr Liya
Soz-e-Ishq Ujaagar Teray Sha'yron Say
Kiya Tou Nay Attar Say Rishta Jorr Liya
Permalink Comments
Meri Dharkan Mein Ya Nabi – Adeeb Raye Puri
March 9, 2010 at 12:46 PM • Filed under Naat Lyrics
Lyrics in Urdu: Part 1, Part 2, Part 3
Meri Dharkan Mein Ya Nabi
Meri Saanson Mein Ya Nabi
Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi
Koi Guftugu Ho Lab Par Tera Naam Agaya Hai
Teri Midha Kartay Kartay ye Maqaam Agaya Hai
Meri Dharkan Mein Ya Nabi
Meri Saanson Mein Ya Nabi
Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi
Dar-e-Mustafa Ka Manzar Meri Chasm-e-Tar Ke Andar
Kabhi Subhu Agaya Hai Kabhi Shaam Agaya Hai
Meri Dharkan Mein Ya Nabi
Meri Saanson Mein Ya Nabi
Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi
Ye Talab Thei Ambiya Ki Rukh-e-Mustafa Ko Dekhein
Ye Namaz Ka Waseela Unhe Kaam Agaya Hai
Meri Dharkan Mein Ya Nabi
Meri Saanson Mein Ya Nabi
Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi
Do Jahan Ki Ne'matoon Se Tere Dar Se Jo Bhi Maanga
Mere Daaman-e-Talab Mein Woh Tamaam Agaya Hai
Meri Dharkan Mein Ya Nabi
Meri Saanson Mein Ya Nabi
Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi
Jisse Pee Ke Sheikh Saadi Balaghal Ula Pukarain
Mere Dust-e-Natawan Mein Wohi Jaam Agaya Hai
Meri Dharkan Mein Ya Nabi
Meri Saanson Mein Ya Nabi
Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi
Woh Adeeb Jisne Mehshar Mein Bipa Kiya Hai Mehshar
Woh Kaheingay Aao Dekho Ye Ghulam Agaya Hai
Meri Dharkan Mein Ya Nabi
Meri Saanson Mein Ya Nabi
Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi
Subscribe to:
Posts (Atom)