Pages

Ghouse Azam Dastageer Rh.

MAZHAR E JAMAL E MUSTAFAAI


WILADAT BA SA'AADAT

Aap Ka Ism e Girami Abdul Qadir Kunniyat Abu Mohammad Aur Laqab Mohiyuddin Hai.Aasmanon Mein Aap Ka Laqab Baaz-e-Ash'hab hai.Allah Ta'ala Ne Aap Ko Gause Azam Ke Khitab Se Nawaza Hai.Aap 470 Hijri Me Iran Ke Ek Qasbe Jilan Me Paida Huwe.


VILADAT KE WAQT KI KARAMAAT

1.Aap Ke Walid e Maajid Hazrat Abu Saleh Musa Jangi Dost Rehmatullahi Ta'ala Alaihi Ko Huzoor Nabi Karim Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Ki Ziyarat Huyi Aur Aap Ne Farmaya Aye Mere Bete Abu Saleh Tujhe Allah Ta'ala Ne Wo Farzand Diya Hai Jo Mera Beta Aur Mehboob Aur Khuda Ka Bhi Mehboob Hai Aur Us Ka Martaba Auliya Mein Aisa Hoga Jaisa Mera Martaba Ambiya Mein Hai.
2.Tamam Ambiya Wa Rasul Ne Aap Ke Walid-e-Majid Ko Khwab Mein Basharat Di Ki Siwaye Sahaba Aur Aimma e Kiram Ke Tamam Auliya Awwalin Wa Aakhirin Aap Ke Farzand Ke Farma Bardaar Honge Aur Us Ki Ita'at Un Ke Darjaat Ki Bulandi Ka Baais Hogi.
3.Viladat Ki Shab Baghdad Mein Sab Ladke Paida Huwe Jin Ki Tadaad Gyara Sau (1100) Thi Aur Wo Sab Auliya e Kamileen Huwe Hain.
4.Aap Ne Tamaam Ramzan Saher Se Lekar Iftar Tak Walida Majida Ka Doodh Nahi Piya.
5.Huzoor Nabi Karim Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Me'araj Ki Raat Jo Aap Ki Gardan e Mubarak Par Qadam Rakha Tha Us Ka Nishan Aap Ki Gardan Mubarak Par Maujood Tha.
6.Aap Ki Wiladat Ke Waqt Aap Ki Walida Majida Ki Umar Saath(60) Saal Ki Thi.Is Umar Mein Aap Ki Paidaish Bhi Ek Karamat Hai.
Paidaish Ke Waqt Aap Ki Shakl e Mubarak Itni Ba Roab Thi Ke Koi Shakhs Aap Ko Gaur Se Dekh Na Sakta Tha Aur Aap Ko Allah Ta'ala Ne MAZHAR E JAMAAL E MUSTAFAAI Bana Kar Rawana Farmaya
BOOK> MAZHAR E JAMAL E MUSTAFAAI

AAP KI KARAMAT
BHUNI MURGI KO ZINDA KARNA

Ek Aurat Apne Ladke Ko Lekar Aap Ki Khidmat e Aqdas Mein Haazir Hui Aur Arz Kiya Ki Huzoor Ye Ladka Aap Se Bahut Aqeedat Wa Muhabbat Rakhta Hai.Main Allah Aur Rasool Aur Aap Ke Liye Apne Huqooq Ko Maaf Karti Hoon Aap Ise Qubool Farmakar Raahe Haq Ki Taleem Dein.Aap Ne Qubool Farmaya Aur Us Ko Mujahide Aur Riyazat Par Laga Diya Taaki Tareeq e Sulook tai karke kamal ko pahunche.Ek Roz Wo Aurat Apne Bete Se Milne Aayi To Kya Dekhti Hai ke bhook Aur Bedari Ke Sabab Ladke Ka Rang Zard Ho Raha Hai.Aur Sookhi Roti Kha Raha Hai.Phir Wo Janab GAUS E AZAM Ki Khidmat Mein Hazir Hui To Aap Ke Saamne Ek Bartan Tha Jis Mein Murgi Ki Haddiya Padi Thin Jo Aap Ne Abhi Tanawul Farmayi Thi.Us Ne Kaha Aye Mere Sardar Aap To Khud Murgi Kha Rahe Hain Aur Mere Bete Ko Sukhi Roti Khila Rahe Hain.Pas Aap Ne Apna Dast e Mubarak Un Haddiyon Par Rakha To Wo Murgi Zinda Aur Sahi Salim Uth Khadi Huyi.Tab Huzoor GAUS E AZAM Ne Farmaya Jab Tera Beta Mujahida Aur Riyazat Ke As Sarje Tak Pahunche Ga To Jo Chahe Khaye Phir Koi Zarar Na Hoga Aur Na Roohani Mein Koi Rukawat Hogi.

JILAYE USTUKHANE MURG KO DAST E KARAM RAKH KAR
BAYAN KYA HO SAKE EHYAYE MAUTA GAUS E AZAM KA


MURDE KO ZINDA KARNA AUR YE KE AAP KA NAAM ISME AAZAM HAI
Riwayat Hai Ke Ek Ladka Dariya Mein Garq Hogaya,Us Ki Walida Huzoor GAUS E AZAM Ki Khidmate Aqdas Mein Haazir Hui Aur Arz Karne Lagi Ke Huzoor Mujhe Yaqeen e Kamil Hai Ke Aap Chahein To Mere Ladke Ko Zinda Kar Sakte Hain,Barahe Karam Meri Darkhwast Qubool Farmaiye.Aap Ne Farmaya Ghar Laut Ja Apne Ladke Ko Paa Legi.Wo Ghar Gayi Magar Ladka Na Paya,Doosri Martaba Aakar Ilteja Ki.Aap Ne Isi Tarah Farmaya Ghar Laut Ja Apne Ladke Ko Paa Legi,Wo Ghar Gayi Magar Ladka Na Mila.Teesri Baar Wo Hazir Huwi Aur Rokar Faryad Karne Lagi Huzoor Ne Farmaya,Ghar Ja Ab Zaroor Apne Ladke Ko Paa Legi.Wo Ghar Gayi To Ladka Maujood Tha.Huzoor GAUS E AZAM Alaihir Rahmah Ne Maqam e Mehboobiyat Mein Kaha Ke Aye Parvardigar,Tune Mujhe Is Aurat Ke Saamne Do Baar Sharminda Kyun Kiya? Jawab Mila Pehli Baar Jab Tum Ne Kaha To Maliaka Ne Is Ladke Ke Ajza e mutafarriqa Ikatthe Kiya Aur Doosri Martaba Maine Us Ko Zinda Kiya Aur Teesri Martaba Us Ko Ghar Pahuncha Diya.Arz Kiya Ke "Aye Parvardigar,Qayamat Ke Roz Ek Aan Mein Be Shumar Ajsaam Ko Dobara Kar Ke Ikattha Kar Dega Jab Ke Ek Ladke Ko Teen Roz Laga Diye,Is Main Kya Hikmat Thi,Jawab Mila Ke Hum Tumhari Dil Shikani Ka Badla Dete Hain Jo Maangna Hai Maang Lo.Huzoor GAUS E AZAM Ne Arz Kiya Aye Parvardigar,Tu Jo Chahe Ata Kar,Allah Ta'ala Ne Farmaya Maine Tumhara Naam Ko Apne Naam Ke Saath kiya ,Jis Ne Tumhara Naam Liya Taseer Aur Barkat Wa Sawab Mein Goya Mera Naam Liya.

THODI SI GANDUM KA PAANCH SAAL TAK KHATM NA HONA.

Shaikh Abul Abbas Bayan Karte Hain Ke Ek Martaba Baghdad Ki Qahet Saali Ke Dauran Maine Huzoor GAUS E AZAM Se Tangdasti Aur Faaqe Ki Shikayat Ki To Aap Ne Mujhe Taqreeban Das Sair Gandum Inayat Farmaiye Aur Farmaya Ke Ise Le Jao Aur Ek Taraf Se Nikalkar Istemal Kar Liya Karo Lekin Ise Wazan Na Karna.Chunanche Is Gandum Ko Hum Tamam Ghar Wale Paanch Saal Tak Khaate Rahe.Ek Roz Meri Ahliya Ne Gandum Ko Wazan Kiya To Maloom Huwa Ki Jitna Pehle Roz Tha Ab Bhi Utna Hi Hai.Us Ke Baad Ye Gandum Saat Roz Mein Khatm Hogaya.

MASJLIS E WAAZ SE BARISH KA MAUQOOF HONA
Riwayat Hai Ke Ek Roz Musladhar Barish Ho Rahi Thi Aur Huzoor GAUS E AZAM Waaz Farma Rahe The Baaz Log Barish Ke Sabab Jaane Lage.To Aap Ne Aasman Ki Taraf Dekh Kar Kaha Aye KhudaWanda Main Logon Ko Jama Karta Hoon Aur Tu Logon Ko Bikherta Hai.Phir Barish Khuda Ke Hukm Se Majlis Ke Uper Se Band Ho Gayi Aur Madarse Ke Bahar Badastoor Hoti Rahi Aur Majlis Par Ek Qatra Bhi Na Girta Tha.

Huwa Mauqoof Fauran Hi Barasna Ahle Majlis Par
Jo Paya Abr-e-Baran Ne Ishara GAUS E AZAM Ka


DARIYA E DAJLA KI TUGYANI KA THAM JANA
Ek Saal Dariya E Dajla Mein Is Qadr Paani Bhar Aaya Ke Baghdad Garq Hone Laga.Log Aap Ki Khidmat Mein Fariyad Lekar Aaye Tab Aapne Asaa Mubarak Liya Aur Dariya Ke Kinare Tashreef Laye Aur Paani Ke Mamool Ke Mutabiq Had Par Us Ko Gaad Diya Aur Farmaya Yahin Tak Rah.Chunanche Paani Usi Waqt Utar Gaya
Aur Tugyani Tham Gayi.


CHOR KO QUTUB BANAYA

Riwayat Hai Ke Huzoor Gaus e Azam Jab Madina Munwwara Ki Haazri Se Wapas Baghdad Sharif Tashreef La Rahe The To Ek Chor Raaste Mein Khada Kisi Musafir Ka Intezaar Kar Raha Tha,Ke Use Loote.Aap Us Ke Qareeb Pahunche To Farmaya Tu Kaun Hai Us Ne Kaha Mein Badwi Hun.Aap Ne Farmaya Mein Abdul Qadir Hoon.Aap Ka Naam Sunte Hi Wo Badwi Be Ikhtiyar Aap ke Qadmon Par Gir Pada Aur Us Ki Zabaan Par Sayyidi Ya Abdul Qadir Shai al Lillah Jari Hogaya.Aapko Us Ki Halat Par Rahem Aaya Aur Aap Ne Ek Nigah Mein Is Ko Wasil Billah Kardiya Aur Qutbiyat Ka Martaba Inayat Farmaya.


AAP KE DAR KE KUTTE KA SHER PAR GALIB AANA
Riwayat Hai Ke Shaikh Ahmed Rehmatullah Alaihi Zinda Sher Par Sawar Hokar Auliya-e-Kiram Ke Paas Jaye Karte The Aur Mehman Bana Karte The.MezBanon Ko Aap Ke Sher Ke Liye Ek Adad Gaye (Cow) Giza Ke Taur Par Dena Padhta Tha. Ek Roz Wo Baghdad Aaye Aur Janab e GAUS E AZAM Ko Paigham Bheja Ke Mere Sher Ke Liye Ek Adad Gaye (Cow) Rawana Kardein. Aap Ne Khadim Ko Hukm Diya Ke Ek Adad Gaye Un Ko Pahuncha Do.Khadim Gaye(Cow) Lekar Rawana Huwa.Aap Ke Dar Par Ek Lagar Sa Kutta Pada Rehta Tha Wo Gaye (Cow) Ke Peechhe Ho Liya.Jab Gaye Ko Sher Ke Qareeb Kar Diya Gaya To Shaikh Ahmed Ne Sher ko Ishara kiya Ke Ye Teri Giza Hai Jab Sher Gaye (Cow) Par Jhapatne Laga To Us Lagar Kutte Ne Badi Phurti Se Sher Par Hamla Kiya Aur Us Ka Pet Chak Kardiya Jis Se Sher Hilak Hogaya.Shaikh Ahmed Fauran Hazrat GAUS E AZAM Ki Khidmat Mein Haazir Huwe Aur Apni Harkat Par Nadim Huye,Aur Aap Ki Dast Bosi Ki.Isi Mauqe Ke Mutabiq Ek Buzurg Ne Farmaya

Sage Argahe Jilan Sho Chu Khwahi Qareeb E Rabbani
Ke Bar Sheran Sharaf Darad Sage Dargahe Jeelani

Yaani Shahe Jilani Rehmatullahi Alaihi Ke Dargah Ka Kutta Ho Ja,Agar Tu Qurb E Ilahi Chahta Hai Kyunki Shahe Jeelani Ke Dargah Ka Kutta Sheron Par Sharaf Aur Bartari Rakhta Hai.

BOOK----MAZHAR E JAMAL MUSTAFAAI

Sarkar Aalahazrat Imam Ahmed Raza Fazile Barelvi Yunh Farmate Hai

Waah Kya Martaba Hai Gaus Hai Baala Tera
Oonche Oonchon Ke Saron Se Qadam Aala Tera

Sar Bhala Kya Koi Jaane Ke Hai Kaisa Tera
Auliya Malte Hai Aankhein Wo Hai Talwa Tera

Kya Dabe Jis Pe Himayat Ka Ho Panja Tera
Sher Ko Khatre Mein Lata Nahi Kutta Tera

Tu Husaini Hasani Kyun Na Muhiyyuddeen Ho
Aye Khizr Majma E Bahrain Hai Chashma Tera

Qasmein De De Ke Khilata Hai Pilata Hai Tujhe
Pyara Allah Tera Chaahne Wala Tera

Mustafa Ke Tane Be Saye Ka Saaya Dekha
Jis Ne Dekha Meri Jaan Jalwa e Zeba Tera

Ibne Zehra Ko Mubarak Ho Uroos e Qudrat
Qadri Paayen Tasadduq Mere Doolha Tera

Kyun Na Qasim Ho Ke Tu Ibne Abil Qasim Hai
Kyun Na Qadir Ho Ke Mukhtar Hai Baba Tera

Nabavi Menh Alavi Fasl batooli Gulshan
Hasani Phool Husaini Hai Mahekna Tera

Nabavi Zil Alavi Burj Batooli Manzil
Hasani Chand Husaini Hai Ujala Tera

Saare Aqhtaabe Jahan karte Hai Kaabe Ka Tawaaf
Kaaba Karta Hai Tawaafe Dare Wala Tera

Jo Wali Qabl The ya Baad Hue Ya Honge
Sab Adab Rakhte Hai Dil Me Mere Aaqa Tera

Tujh Se Dar,Dar Se Sag,Aur Sag Se Hai MujhKo Nisbat
Meri Gardan Mein Bhi Hai Door Ka Dora Tera

Is Nishani Ke Jo Sag Hain Nahi Maare Jaate
Hashr Tak Mere Gale Mein Rahe Patta Tera

Bad Sahi Chor Sahi Mujrim O Nakaara Sahi
Aye Wo Kaisa Hi Sahi Hai To Kareema Tera

Mujh Ko Ruswa Bhi Agar Koi Kahega To Yunhi
Ke Wahi Na Woh RAZA Banda E Ruswa Tera

Hain RAZA Yun Na Bilak Tu Nahi Jayyid To Na Ho
Sayyide Jayyide Har Dahar Hai Maula Tera

Fakhr e Aaqa Mein RAZA Aur Bhi Ek Nazam e Rafee
Chal Likha Layein Sana Khwanon Mein Chehra Tera


EK HI WAQT MEIN IKHATTAR JAGAH IFTARI FARMANA
Riwayat Hai Ke Ramzan Ke Mahine Mein Ittefaqan Sattar Aadmiyon Ne Aap Ko Ek Hi Roz Alag Alag Apne Apne Ghar Iftaar Karne Ki Dawat Di.Aap Ne Har Ek Ki Dawat Ko Qubool Kiya.Jab Iftari Ka Waqt Aaya To Aap Ne Har Ek Ke Ghar Jakar Iftari Ki Aur Usi Waqt Apne Ghar Bhi Iftari Ki.Ye Khabar Baghdad Mein Phail Gayi.Aap Ke Ek Khadim Ke Dil Me Khayal Aaya Ke Hazrat To Us Waqt Apne Ghar Se Hi Nahi Nikle To Itne Logon Ke Gharon Mein Jakar Ek Hi Waqt Mein Iftari Karna Kaise Mumkin Ho Sakta Hai?.Aap Ne Us Dil Ki Baat Par Muttala Hokar Farmaya Ke Yeh Sach Hai Ke Main Ek Hi Waqt Mein Un Sattar Aadmiyon Ke Yahan Alag Alag Un Ke Gharon Mein Jakar Iftari Ki Aur Usi Waqt Maine Apne Ghar Mein Bhi Iftar Ki.


Gaye Ek Waqt Mein Sattar Muridon Ke Yahan Aaqa
Samajh Mein Aa Nahi Sakta Muamma Gaus e Azam Ka

BOOK-Mazhar e Jamal Mustafaai


AAP KI UNGLIYON KI BARKAT

Shaikh Mohammad Arif Abu Mohammad Ali Se Riwayat Hai Wo Bayan Karte Hain Ke Main Apne Shaikh Muhiyuddin Abdul Qadir Jilani Ki Ziyarat Ke Liye Baghdad Aaya Aur Aap Ki Khidmat Mein Ek Arsa Thehra Raha.Phir Jab Maine Misr Ki Taraf Lautne Ke Aur Makhlooq Se Mujarrad (Door) Rehne Ka Irada Kiya To Aap Se Ijazat Maangi.Tab Aap Ne Mujhe Vasiyat Ki Ke Kisi Se Kuchh Na Mango Aur Apni Dono Ungliyon Ko Mere Munh Par Rakha Aur Mujhe Hukm Diya Ke In Dono Ko Chuso.Maine Aisi Hi Kiya.Aap Ne Farmaya Ke Ab Tum Durust Hidayat Yafta Ho Kar Jao.Main Baghdad Se Misr Aaya Aur Mera Ye Haal Tha Ke Na Khata Tha Na Peeta Tha Aur Main Bada Taqatwar Tha.


BOOK-MAZHAR E JAMAL E MUSTAFAAI
 
................................................................................................................ 

IRSHADAATE HUZOOR GAUSE AZAM

  • Zalim Apne Zulm Se Mazloom Ki Duniya Kharab Karta Hai Aur Apni Aakhirat.
  • Wo Insan kitna Bad Naseeb hai jis ke Dil Mein Jandaron par rahem karne ki aadat nahi.
  • Jis Amal (Ibadat,Riyazat,Neki)Mein Tujhe Halawat Na Mile,Yun Samajh ke tu ne use Kiya hi Nahi.
  • Behtareen Amal Logon ko Dena Hai,Logon Se Lena Nahin Hai.
  • Bad Gumani Tamam Faaidon ke Raaste Band Kar Deti Hai.
  • Tamam Acchaiyon Ka Majmooa Ilm Seekhna,Amal Karna,Aur Doosron Ko Sikhana Hai.
  • Tere Sab Se Bade Dushman Tere Bure Hamnasheen Hai.
  • Tu Nafs Ki Tamanna Poori Karne Me Mashgool hai.Aur Nafs Tujhe Barbaad Karne me.
  • Khuda Ke Dushmano Ko Khush Rakhna Aqal Wa Danish Se Dur Hai.
  • Apni Musibat ko Chhupao ALLAH TA'ALA ki Qurbat Naseeb Hogi.
  • Fitna Hai Wo Rozi Jis Par Shukr na ho,Aur Wo Tangi Jis Par Sabr Na Ho.
  • Momin Apne Ahle o Ayal Ko ALLAH Per Chodta Hai Aur Munafiq Zar o Maal Par.
  • Aqal Mand Pehle Qalb Se Mashwara Karta Hai Phir Zaban Se Bolta Hai.
  • Jo ALLAH TA'ALA Se Aashna Huwa.Us Ne Khalq e Khuda Ke Saath Tawazo Ka Bartaw Kiya.
BOOK-Mazhare Jamale Mustafa
.......................................................................................................................................

Manqabat Huzoor Gause Azam{Sarkar Taajushshariah}

Sehzade AALAHAZRAT Janasheen e Huzoor Mufti-e-Azam Huzoor Taajushshariah Hazrat Allama Mufti Mohammad AKHTER Raza Khan Qibla:

YA GHOUS AL-MADAD

Peer-o ke Aap Peer heh, Ya Ghous al-Madad
Ahle Safa ke meer heh, Ya Ghous al-Madad

Ranjo alam Kaseer heh, Ya Ghous al-Madad
Hum aajozo aseer heh, Ya Ghous al-Madad

Hum kayse jee rahe heh, ye tum se kya kahe
Hum heh alam ke teer, Ya Ghous al-Madad

Tere nazar se pherdo, sare alam ke teer
Kya ye alam ke teer heh, Ya Ghous al-Madad

Tere hi hath laaj hai, Ya Peer-e Dastageer
Hum tere Dastageer heh, Ya Ghous al-Madad

Kis dil se ho bayanee, bedade zaalima
Zaleem bare shareer heh, Ya Ghous al-Madad

Ahle Safa ne paaie, tumse rahe safa
Sab tumse mustaneer heh, Ya Ghous al-Madad

Sadqa Rasool-e Paak ka, jholi mein daaldo
Hum Qadri Fakeer heh, Ya Ghous al-Madad

Dil ki sunaa-e AZHAR , dil ki zaban mein
Kehte yeh behtaneer heh, Ya Ghous al-Madad
 
........................................................................................................... 

Sarkar Gause Azam Radiyallahu Ta'ala Anhu